Martey huwe zameer ko bachana para mujhe
Badal ki tarha dasht main ana para mujhe
Wo kar nehi raha tha meri baat ka yakeen
Phir yun huwa k mar k dikhana para mujhe
Bhooley se meri tarf wo dekhta nahi tha
Chehre pe ek zakham lagana para mujhe
Ek khud gharz se haath milaney k wastey
Mehfil main sab se haath milana para mujhe
Uss bewafa ki yaad dilate tha bar bar
Kal aainey pe b haath uthana para mujhe
Monday, July 26, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment